💫Welcome to ThePoetyfy 🕊"Where words drip from wounds unspoken, and silence roars louder than sound."

Disqus Shortname

Tu Fitoor Tha Mera

"Tu Fitoor Tha Mera" is a heart-touching Hindi poem about unspoken one-sided love, emotional silence, and letting go someone who was never yours.
ThePoetyfy
Tu Fitoor Tha Mera – Heartfelt Poem of One-Sided Love

Tu Fitoor Tha Mera

Intro:
My very first poem,
It’s based on the pain of one-sided love,
how someone who once was your best friend slowly started meaning more to you…
but your feelings didn’t matter,
because he belonged to someone else.
I’ve always believed in the power of voice, and as an orator,
I know I could make people cry if I had performed this live but for now the words are here
and every line holds a piece of my heart.
So here it is…

Sad young woman sitting alone on a bench by a foggy riverside under the moonlight, holding a closed book – emotional and melancholic artwork

Tu fitoor tha mera Ek rishta begana sa Chaha tujhe sab kuch Aur shayad khud se bhi zyada Ab ja chuka tu mujhe chhod kar To lagta hai ye sab afsana sa Kash tu bas sapna hi hota To gham nahi hota Tere jaane ka Ek pal aaya tha Jab sochti thi main Ki mere zakhmon ko, tere lafzon ki wo chhooan chahiye Meri aankhon ko, tere haathon ki wo narmi chahiye Arre wo chaand jo muskura raha tha mujhe dekh kar Usko lagta tha ki mujhe meri haalat pe malaal hona chahiye Magar jab dekha teri aankhon mein Pyaar kisi aur ke naam ka Toh is dil ne bas itna kaha— Ki tujhe chhod dena chahiye Ki tujhe chhod dena chahiye Ab malaal nahi hoga Teri aankhon mein uska pyaar dekh kar Main muskura kar tera haath dungi Uske haathon mein jaakar Kyunki teri khushi se badhkar Maine kuchh chaaha hi nahi Tera dil mere liye dhadke Ye nafaasat-e-noor to maine kabhi paaya hi nahi Magar phir bhi Magar phir bhi Ye dil kehta hai Ki jo rishta tera mera hai Usme wajood bahut gehra hai Aur tujhe mujhse kya kabhi koi door kar paayega? Bhool ja pagle Ye wo sapna hai Jo tu sapne mein bhi poora nahi kar paayega Magar aaj Magar aaj tu mujhse door hai Waqt ke saath shayad majboor hai Par main kya karoon Ye dil hai ki manta hi nhi Main tere bina reh nahi sakti Aur tu— Tu is baat ko janta hi nhi Ab waqt ke saath samjhauta kar liya hai Maine tere bina jeena seekh liya hai Kehti hoon khud se roz ki— Ye fitoor tha mera Ek sapna kahoon Ya kahoon ek afsaana Yakeen dilati hu khud ko roz ki bhool chuki hoon tujhko Aur dekho na— Tujhe bhool jaane ke zikr ne Ek baar phir mujhe sab yaad dila dia...

Outro:
🥀 The End... or maybe not? 🌙
Even though this poem marks the end of that unspoken story,
it still lingers as a silent conversation between the heart and the void.
We all have that one person who will never know
how deeply they were loved…
and this is mine.

– Written by Anonymous


📩 Want to share your poem? Email us at thestoryfy01@gmail.com

📚 Explore more Hindi poetry: Click here

📝 Read more poems: Click here

Post a Comment

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
AdBlock Detected!
We have detected that you are using adblocking plugin in your browser.
The revenue we earn by the advertisements is used to manage this website, we request you to whitelist our website in your adblocking plugin.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.